Dec 21st 2014 9:45pm - Neenah WI
Meri Pehchan...
tere kadmo ki aahat jaise pehchan thee meri
teri saaso ki khusboo jaise jaan thee meri
sadiyan lagi tujhe bhoolane mein aye kaatil mere
kyun aata hai khwabo mein mere har roz yuhi'n
na fikr na jizkr na hii koi yaad teri baaki hai
ab toh iss dil mein bus ek toota hua aaiyina hai
jo dekh letain hey hum...jub khabhi dil dhadkta hai
tere kadmo ki aahat jaise pehchan thee meri
tere roothne pe koi ghum na tha
ghum toh teri behruhki pe hai humein
yun toh na ho khafa humsein
khabi humein dekh lo yun pyaar se
jaise dekhtein ho tum unnhey...
kaash tu humara haalein dil jaan leta..
ke tu kya hai...teri aahat kya hai
na woh kadam hai...na hii woh aahat...bus hum hai aur humara toota hua dil!
tere kadmo ki aahat jaise pehchan thee meri...
Tera Intezaar.....
Tera naam, naam leke hum jee letein the..
Teri raah tak tak ke saas le letein the hum..
Ek din woh tha aur ek din yeh hai..
Raah mein milna toh mushkeel hai...
Aub toh khwab mein bhi tera aana na mumkeen hai...
Jo kai bhoole sey tere khwab aa bhi jaatein hai toh hum khud ko neend sey jagaa letein hai...
Yeh soch ke, ke kai yeh umeed na kar bethein ke tu aayega...
Humein bulayega...humein gale se youn lagayega...
Tere hone ka aaitbaar na kar bethien...kahin hum tera intezaar na kar bethein
Feb 17th 2014
Woh baatein toh kartein hai…lekin muhjse nahin
Woh saasein toh letein hai…lekin jeetein nahin
Khawab bhi dekhein hai lekin khulli ahkhon sey
Jo baandh kii ahkein toh aye nazar woh hii usse
Jiski hai khawish, ho deedaar uska...hai woh jaan hai meri
jaan na le jaan meri!
Dec 19th 2011
A long lunch break and I had on my "thinking" hat...the outcome is quite relevant below...
Mein ne socha hai jo na tha sochana mujhe
Khwab ek dekha hai jo na dekhna tha mujhe
Sochte sochte neend aagaee toh kya hua
Neend me Khwab…khwab me tu aa gaya to kya hua
Rasm riwaaz sub joothe hai saare…uthana chahein saare neend se humein..
Khwab jo tere..mere hai..aaye na pasand unhein…toh kya hua
Dushman dilon ke hai yahan kai…neend na hogee nah hogein khwab yahan
Aa le chal mujhe iss jaahan se parein..kahin dur uss mod pe aise…
Jasie neend ley jaaye humein khwabo me tere_
Nov 1st 2011
Bhiini bhiini sii barish ki boondein...choo gayee yun anng mera...
jaise kahin meelon dur se ussne haath badhaya aur chooaa mujhe!!
Saundhi saundhi sii khusboo iss barish ki…yaad aayii woh barish,
jub hum the, tum the, aur tha bachpan hamara…
woh fidvi mahal ki chhat, woh milna woh rootha,aur phir manana uska
hai woh barish…woh bachpan hamara!!
Oct 25th 2011
Sahil pe aa ke manzilein milli
manzilein milli…woh tera pyaar na paya
sahil pe aake khud ko doobtah dekha
aakh jo khuli toh gumshuda the hum
bas ek khawab sa tha..tere ahesaas ka
aakh jo khuli toh gumshuda the hum!!!
mutliq se dua kii thee jannat kii
ussne na sooni dua meri…dii humein anhdhiya sahrah ki!!
Nami na dekhi ankohon mein usne…hotoan pe haasi si rakhein hue the hum
Dard dil ka chupaye hue the hum… majboor se the aadat se hum!!!
July 11th 2011
Fikr thee tere rooth ne ki, manana humko aata nahi
Likha jo tere liye tune toh padha nahi
Apna kya, gair bhi tune samjha nahi
Fikr thee tere rooth ne ki…manana humko aata nahi
October 10th 2011
Aye mere maazi, mujhe pukara maat karo…
Duniya ki iss deewaron ko mein tod nahi sakti….
Kinara samne hai, lekin mein paar aa nahi sakti…
Cha ke bhi tumhe, mein cha nahi sakti
Rashm riwaaz nibhaey jaatein nahi
Jo tumne di awaaz toh hum rook paatein nahi.
Duniya ki Iss deewaron ko mein tod sakti nahi …
Tumhe cha kar bhi mein cha nahi sakti
Aye mere maazi, mujhe pukara maat karo…
Manzilen meri mil giyee hai mujhe
Ladkhainge yeh kadam mere, jo awaaz di tumne
Duniya ki Iss deewaron ko mein tod sakti nahi …
Maazi mere, maazi hee rahein tu…
Meri yadoon mein ek hasin yaad rahein tu
Jo khayal aayen tera toh muskura uthe yeh dil mera
Samne se guzree ‘gar tu khabhi…
Toh ek khawab hii rahein tu
yeh jaan kar bhi ke tu hai…tu na rahein yunn
Ek iltija hai mere maazi…maazi na rahein tu!
Woh baatein
na tum ne kahin
na mein ne kahin
hotoan pe aatein aatein rahe si gayee
dil ki baatein dil mein thum si gayee
haath milaya, gale se bhi lagaya...
akhein na mila sakein
ek baar kheke to dekhtein...
khud ko to kya...duniya bhoola detein!!!
yadein teri...
Bhoolna chaha toh bhool na payein
Yaad aayee toh rukh na payein
Usse rishta juda aaise
Dil se dhadkan judi jaise
Saas thami toh dekha unko
Naaraz hue toh jaana kudko
Nov 3rd 2010 11:35PM
Lakh koshisho ke baad bhi
Kuch na likh sakein
Jo chaha woh unhe keh na sakein
Baat ki unse toh chot si khaiee
barso se baad jaana humne
pyar kiya jinse, woh wafa na kar sakein.
********************************************
Hosh humein aane na payein
Behosh kiya nazro ne teri
Ek ghoot bhi pee na sakein…
Hoton pea aate aate ruukein kyon
Jaam chalake kyon
dil diya tujhko toh doob sa gaya
Jo hosh aaya to khud ko khoya
Khudko bhi sheh na payein
Dil pe lagi to chot khaiee
Jaan pea a bani to jaan di
Nov 2nd 2010 11:30pm
Dil tode na toote toot se jatein hai
Riste jode na judein Jud se jatein hai
Har sham yaad teri Har raat khwab tere
Duniya to kya, jaan tujh pe kurbaan
Ek baar bula ke to dekhte
Jo haath badathe aap Hum iss jahaan to kya
Uss jahaan ko bhi chodd aate..
Iss duniya to kya..
Hum khud ko bhi bhoola detein
Jan 14th 2010 11:41pm
Inn do lamhon mein...
waqt ko bhool ke
mil jate kahin hum tum
dil ki aah sun leta tu
teri bahoon me jee letein hum
tu mera nahin yeh bhool jati mein
mein teri nahin yeh bhool jata tu
waqt ko bhool ke jee letein hum
inn do lamhon mein mar letein hum
jete jee to na mil sakein ge hum
kash mar ke hi mil letein hum
inn do lamhon mein jee letein hum
May 5th 2009 1:11AM
na wafaa, na jafaa
tum se karke pyar yeh jaana humne
hota hai kya dard yeh maana humne
tum se wafaa, unn se jafaa
ab yeh na hoga hum se…
kasam li humne, kasam se
na tum, na woh
humme jeena hai, jeene ke liye
tum ko bhulana hai, zindagi ke liye
شري
Tumhe jaan ke jaana humne, kya khoya kya payaa humne
Itne to dur na raho, ke hawa bhi chu na sake
Itne to karib aao, ke hum saas bhi na le sake
Tumhe jaan ke jaana humne, kya jeena kya marna humme
word of the day:
شري means poetry in urdu
mrv 2009©haath jo thamein huyein chale the hum
No comments:
Post a Comment